Khayaloun Main Agar Aao
Khayaloun main agar aao sambhal jana dil-e-jaa main
Mere ashkoun ke darya main mere aahoun ke tofan main
Main tum ko bhi bhula deta ya hote gar dil-e-jaa main zaid
Mere ashkoun ke darya main mere aahoun ke tofan main
Koi Aehl-e-dil Nahi He
Koi aehl-e-dil nahi he koi razdaa nahi he
Main qafs main jee raha houn mara aashyaa nahi he
Zaid kahan mile ga kisi zulf ka andhera
Main khizaa ki dhoop main houn koi saiban nahi he
Jab Bhi Chalka Meri Aankho Se
Jab bhi chalka meri aankho se wo pani ki tarah
Khak main milne laga meri jawani ki tarah
Kuch is tarah se meri zindagi na kam rahi
Zaid ek be waja si be nam kahani ki tarah
Jab Se Main Ujra Houn
Jab se main ujra houn ahbab bhi kam aate hain
Ab meri palkoun se selab bhi kam aate hain
Munsalik the jo tere wisal ki betabi se zaid
Ab meri palkoun pe wo khuwab bhi kam aate hain
Dard Phir Dil Main Utha He
Dard phir dil main utha he lo sambhalo mujhko
Ek naya zakham mila he lo sambhalo mujhko
Meri aankho se zaid jo uthta he dhuwaa
Phir koi khuwab jala he lo sambhalo mujhko