Showing posts with label Chand. Show all posts
Showing posts with label Chand. Show all posts
Sunday, 20 July 2014
Monday, 19 May 2014
Urdu Bewafa Ghazal Shayari
Aesa Kabhi Na Karna
Tum roth jao mujh se aesa kabhi na karna
Main ek nazar ko tarsoun aesa kabhi na karna
Main poch poch haroun so so sawal karke
Tum kuch jawab na do aesa kabhi na karna
Mujh se hi mil kar hansna mujh se hi mil kar rona
Mujh se bichar ke jee lo aesa kabhi na karna
Tum chand ban ke rehna main dekhti rahoun gi
Kisi roz tum na niklo aesa kabhi na karna
Tum chale jao jab bhi, dekho tumhara rasta
Zaid tum lout ke na aao aesa kabhi na karna
Thursday, 13 March 2014
Best Poetry Ghazal In Beautiful Photo
Jab Kabhi _ _ _
Chand tare jab us aangan se guzarte hounge
Sham wo log hamain yaad to karte hounge
Aik ye subha ke weran he guzargahe khayal
Aik wo subha jahan bal sanwarte hounge
Jab kabhi choriyaa taakra ke khanakti houngi
Ghar ki tanhai main kia rang bikharte hounge
Aik ye sham ke bhegi hoi palkain hain wohi
Zaid aik wo sham jahan chand autarte hounge
Tuesday, 29 October 2013
Dard Bhari Nazam Shayari In Urdu
Koi Apna Hota
Chand sitaroun ke shehar main
Afsanoun ke nagar main
Koi apna
Chahne wala hota
Aankhoun main basne wala hota
Ae zaid !
Koi apna hota
Thursday, 15 August 2013
Best After Eid Shayari Collection
Guzar gae eid ke din aur itne mukhtasir
Zaid din gina karte thay in dino ke lie
Teri deed jis ko naseeb he wo qabil-e-deed he zaid
Tujhe sochna meri chand rat aur tujhe dekha meri eid he
Jis ke baghair sham guzari na thi
Us ke baghar zaid aaj eid guzar gai
Na mil sake hum is eid par to koi bat nahi
Zaid jazboun me ho khouloos to eidain hazaar hain
Tuesday, 21 May 2013
Urdu Sad Historical Nazam
Mera Kia He
Jis karwat lete the hum tum
Chand tumhari pechani ko chom raha tha
Dekho janah _ _ _
Chand wahan se hijrat karke
Peroun tak aapocha he
So jao _ _ _!
Baqi batain kal kar lain ge
Zaid_mera kia he
Lekin chand ko sona he
Tuesday, 30 April 2013
Urdu Best Critial Poetry About Love Story
Kabhi Youn Bhi To Ho
Kabhi youn bhi to ho
Darya ka sahil ho
Pure chand ki raat ho
Zaid_aur tum aao
Kabhi Youn Bhi To Ho
Kabhi youn bhi to ho
Paryoun Ki mehfil ho
Koi tumhari bat ho
Zaid_aur tum aao
Kabhi Youn Bhi To Ho
Kabhi youn bhi to ho
Soni har mazil ho
Koi na mere sat ho
Zaid_aur tum aao
Kabhi Youn Bhi To Ho
Kabhi youn bhi to ho
Ye badal toot ke barse
Mere dil ki tarah milne ko
Tumhara dil bhi tarse
Zaid_tum niklo ghar se
Kabhi Youn Bhi To Ho
Kabhi youn bhi to ho
Tanhai ho,dil ho
Bonde houn,barsat ho
Zaid_aur tum aao
Kabhi to youn bhi ho
Monday, 22 April 2013
Very Sad Urdu Ghazal With Photos
Tumhain Koi Yaad Karta He
Jab Wo teri taraf dekhain
To unhain kuch yaad dilana
Mudhar se kuch geet sunana
Aur kehna......!
Tumhain koi yaad karta he
Teri aarzo teri umeed karta he
Zaid_koi aaj bhi
Tumhain dekh ke eid karta he
Friday, 19 April 2013
Urdu Qitah قطعہ
To Bura Man Gae
Zulf ne bal koi khaya to bura man gae
Chand badli main jo aaya to bura man gae
Aur sub ko pilate rahe mast aankho se
Hath Zaid ne barhaya to bura man gae
Pholoun Ki Nazakat He Tujh Main
Itni nazuk ke pholoun ki nazakat he tujh main
Itni komal ke kalyoun ki shararat he tujh main
Younhi khohi rehti tum mere khayaloun main
Zaid_ye to mere piyar ki karamat he tujh main
Wednesday, 27 March 2013
Nice Urdu Poetry In Image For "GHAM"
Jab koi poche shab-e-gham ka chand kese dhala
Zaid_hum teri zulf ki tasveer bana dete hain
Larna paogi ke dunya bhar ke gham hain samne
Zaid_sath mujh tanha ko ab har dam tumhara chahiye
Aaj shab be-hisab pi hum ne Zaid
Kisi ke gham ki sharab pi hum ne
Bhar jae na aankhain na bhar jae mera dil
Shayad ke tere gham se na ghabrae mera dil
Friday, 22 March 2013
Urdu Sad Poetry Pics For "YAAD"
Bohut yaad aane lagi ho _ _ _
Mohabbat ka izhar thori kia he
Chup jati he aaina dikha kar teri yaadain_Zaid
Sone nahi detein mujhe shab bhar teri yaadain
Sone nahi detein mujhe shab bhar teri yaadain
Dil ke but khane main har chera unhi jesa tha
Zaid_yaad jab dil ne dilai mere harjai ki
Zaid_yaad jab dil ne dilai mere harjai ki
Poora chand aur teri yaad_Zaid
Dono meri nend ke dushman
Dono meri nend ke dushman
Yaad rahega ye dour-e-hayat mujh ko_Zaid
Ke tarasta tha zindagi main ek shakhs kelie