Showing posts with label Aankhain. Show all posts
Showing posts with label Aankhain. Show all posts
Tuesday, 20 January 2015
Sunday, 12 October 2014
A Wonderful Ghazal For Eyes
Teri Muskurati Ye Taband Aankhein
Teri muskurati ye taband aankhein
Hain ghewara do shez-o-subha-e-no ka
Ke aakash ke do sitaroun ka singam
Bhegte hoe jese do nile shabnam
Mujhe aurne de in ki neli fizah main
Yahan tak ke teh kar ke ye sari dunya
Main ho jao gum in ki sari gehraiyoun main
Ro phele sunheri si parchaiyoun main
Teri muskurati ye taband aankhein
Saturday, 13 September 2014
Aankhein Shayari | New Aankhein Shayari | Latest Aankhein Shayari
Teri aankho main ye jo surkh dhage hain
Zaid na jane raat kis ne naseeb jage hain
Aankhein khole hi yaad ajate ho _ _ _
Zaid tumhein to bus satane ka bhana chahiye
Aankho ne tumhein dekha tha , aur dil ne pasand kia
Zaid ab tum hi batao aankhein nikal do ya dil???
Aankhein kisi ke husn-e-tasveer main band thein
Zaid dunya samajh rahi thi , nend aagai mujh ko
Ne nend he aankho main main na hi koi hasrat
Zaid Kitni sadi si reh gai houn main tere bagair
Tuesday, 3 June 2014
Urdu Intezar Ghazal Shayari
Kab Aao Ge ... ???
Kab aao ge ...???
Jab intezar mein aankhein pathar hojaegi ...
Jab piyase lab murjha ja ain ge ...
Jab dard had se barh jaega ...
Jab jan jism se nikal jaegi ...
Jab matti me dafna dege ...
Qabar par phool charha denge ...
Chand aanso bhi bahadenge ...
Tab mat aana zaid ...
Jab hum methi nend so rahe hounge ...
Saturday, 22 March 2014
Urdu Nazam Poetry Shayari
Tere Jane Ke Bad
Dil yadoun ka gehwara
Aankhein aansoun ka samandar
Kaan teri awaz ke matlashi
Zuban tere milne ke lie duago
Dimag khayaloun main gum
Hont piyar ke piyase
Zaid tere jane ke bad
Friday, 3 January 2014
Best Urdu Ghazal | Do Not Dream
Khuwab Mat Dekho
Kha tha khuwab mat dekho
Ke in ke tootne se
Karchiyaa aankho main
Chubti hain _ _ _
Phir zaid aankhein khoon roti hain
Saturday, 21 December 2013
Best December Ghazal | Love Never Ends
Ye December Tha
Ye december tha ke bhegi hoi aankhein meri
Rabta toota ke tooti hoi sansain meri
To jo badla to sub hi rang hein badle badle
To nahi he to hain mehakti hoi yaadain teri
Sham hote hi jala lete hain yadoun ke chirag
Tujh ko sochoun to mehak uthti hain sansain meri
Zaid ye december tha ke bhegi hoi aankhein meri
Friday, 22 November 2013
Urdu Aankhein Ghazal Shayari
Neli,Kali,Bhori Aankhein
Neli,kali,bhori aankhein
Chamakti,badami aankhein
Tekhi,Surk sharabi aankhein
Thaki hoi si bojhal aur nendasi aankhein
Bhoki aankhein,nangi aankhein
Aankhoun ke us bojh se dab kar mur jhain gi
Zaid piyamil ki piyasi aankhein
Sunday, 17 November 2013
Sad Nazam In Urdu | Her Cold Face
Us Ke Sard Chere Par
Har kisi ke chere par
Ek ziya si hoti he
Rukh ke aik hisse main
Husun ke ilake main
Ek udasi hoti he
Us ko mene dekha tha
Garam khomahinoun main
Ek khushi ki mehfil main
Ek taraf khare tanha
Jis taraf ko raste the
Jin ke sath galyaan thein
Jin main log badte the
Be-kashish makanoun main
Jese chand ratain thein
Us ke sard chere par
Zaid _ _ _
Khushgawar aankhein thein
Saturday, 16 November 2013
Best Ghazal | A Dream Comes True
Tum Jis Khuwab Main Aankhein Kholo
Tum jis khuwab main aankhein kholo
Us ka har roop amar_ _ _
Tum jis rang ka kapra pehno
Wo mosam ka rang_ _ _
Tum jis phool ko hans kar dekho
Kabhi na wo murjhae_ _ _
Tum jis hurf pe aungli rakhdo
Zaid wo roshan hojae_ _ _
Sunday, 3 November 2013
A Ghazal Sad Situation
Mera Chera Mere Halat Ka Aaina He
Mera rona mere jazbat ka aaina he
Ye khamoshi meri har bat ka ka aaina he
Kis tarah kardoun use khud se juda
Wo jo ek shakhs meri zaat ka aaina he
Aankh main phir koi darya na autar aae kahein
Meri aankhein kisi barsat ki aaina he
Be-basi meri teri tishna labi jesi he
Meri har bat teri bat ka aaina he
Jo bhi chaho meri sorat main dekh lo zaid
Mera chera mere halat ka aaina he
Tuesday, 29 October 2013
Dard Bhari Nazam Shayari In Urdu
Koi Apna Hota
Chand sitaroun ke shehar main
Afsanoun ke nagar main
Koi apna
Chahne wala hota
Aankhoun main basne wala hota
Ae zaid !
Koi apna hota
Monday, 28 October 2013
Ghazal Honour of Love for Someone Special
Jado Gar Thi Aankhein Us Ki
Batain karte hont achanak ruk jate aur
Aankhein us ke piche piche chal parhti thi
Dihan kar rasta kho jata tha
Mehfil main jis simat wo jati
Kamre ka wo hissa jese yakdam roshan hojata tha
Jado gar thi aankhein us ki
Palkein thi ek raaz !
Roh main jhil mail kar deti thi
Zaid aesi thi aawaz !!!
Tuesday, 22 October 2013
Urdu Sad And Crying Nazam Shayari
Hamare Zakham To Chele Gae Hain
Hamare zakham to chele gae hain
Han! laho behta he.behne do
Badan dukhta he,dukhne do
Ab in zakhmoun pe tum marham na rakho
Zakham bhar bhi jaain to bharne se kia hoga
Hamari aankh ka sara laho beh jae to behne se kia hoga
Hamari aankh se jitna laho behta he,behne do
Hamare chak rehne do
Hamare chak sil bhi jaain to silne se kia hoga
Hamare zakham behne do zaid
Hamari aankh ki patli main koi nam na rehne do
Sunday, 20 October 2013
Urdu Aankhein Nazam Shayari Photo
Wo Aankhein Kesi Aankhein Thi
Wo aankhein kesi aankhein thi
Main ab tak maho herat houn
Ajab shesha gari thi wo
Ajab jado gari thi wo
Bari herat se takte the
Ye meri zaat ke zarre
Ke is ki nigah-e-khas ne
Aesi tajalli ki
Ke meri zaat jo koh-e-girah thi
Reza hogai zaid
Wo aankhein kesi aankhein thi
Thursday, 4 July 2013
Urdu Very Sad And Deep Love Nazam Shayari
Haseen Lamhe!!!
Haseen lamhe!!!
Wohi the lamhe,
Ke jis main tum thi,
Tumhari qurbat marasuko thi,
Ke jis main ulfat ko hurf-e-izhar dil ki koi,
Talab nahi thi,
Ke jis main aankhain hi kar rahi thi,
Tamam batain!!!
Ke jis main qurbat ki thandi chahoun,
Gham-e-zamana bhola chuki thi,
Ke jis main lamhe guzar rahe the,
Magar gumal tha ruke hoe hain,
Zaid haseen lamhe!!!
Thursday, 13 June 2013
Urdu Nazam Shayari | Do Aankho Se
Hum ne un ko
Itna dekha
Do aankho se
Jitna dekha ja sakta he
Lekin phir bhi, do aankho se
Zaid_kitna dekha jasakta he??
Thursday, 6 June 2013
Urdu Nazam | Agar Tum Aaina Dekho
Agar tum aaina dekho
To apne aap se nazrain chura lena
Ke aksar be-wafa logoun ko
Jab wo aaina dekhain
To unhain aankhain chor lagti hain
Tuesday, 21 May 2013
Urdu Sad Ghazal Someday My Princes Will Come !!!
Bus Intezar He
Bus intezar he
Wo mehakti hoi raat
Kab aaegi jab_ _ _
Mere sene pe tera sar hoga
Aur
Mere hath tere baloun main
Ye tere phool se hont jinhain
To sharam se danto main daba leti he
Ye sirf mere honge
Ye tere mur mure se hath
Ye Sharmati hoi nazar
Ye jhuk kar uthti hoi aankhain
Ye sub meri hongi
Bus intezar he
Wo mehakti hoi raat
Kab aaegi jab_ _ _
Wo mehakta hua shadab badan
Meri jageer hoga
Ek haseen khuwab ki tabeer hoga
Jo sulagti hoi ratoo ka andhera hoga
Jo mehakti hoi subha ka ujala hoga
Jo sub mera hoga
Bus intezar he
Wo mehakti hoi raat
Kab aaegi jab_ _ _
Zaid_ye sub mera mera hoga
Bus intezar he_ _ _
Friday, 17 May 2013
Urdu latest Ghazal About Love Story
Kyun Itni Mohabbat Karte Ho Tum
Ek pagal si larki
Pocha karti he ye mujh se
Kyun itni mohabbat karte ho tum
Us ko kese ye samjhao_ _ _
Aankhain jheel samandar houn tou
Doobna acha lagta he
Chera ho jab ghazal ki manind
Parhna acha lagta he
Mile rehna,bate karna
Hansna acha lagta he
Aese main to jena acha
Marna acha lagta he
Ek pagal si larki aksar
Pocha karti he ye mujh se
Kyun itni mohabbat karte ho tum
Zaid_us ko kese ye samjhao