Kuch aur bhi jazboun ko be-naqab kia us ne
Zaid mehndi lage hothoun se adab kia us ne
Un ke hathoun pe mehndi ka hamain ye faida hua zaid
Ke raat bhar un ke chere se zulfain hum hatate rahe
Tumhari thi shararat mehndi se hatheli pe naam likhna
Zaid aur mujhe ruswa kardia tumne younhi khelte khelte
Zaid raat phir aae gi phir zehan ke darwaze par
Koi mehndi lage hathoun se dastak dega
Wo kehta he ke mere naam ki mehndi lagao _ _ _
Main kehti houn lagao gi zaid agar tum le ke aae to