Showing posts with label December. Show all posts
Showing posts with label December. Show all posts
Monday, 8 December 2014
Thursday, 4 December 2014
December Shayari | New December Shayari | Latest December Shayari
Zaid teri yadain december ki khushbo jesi hain
Jo aati hain to jana bhool jati hain
Zaid ye saal bhi udas raha roth kar gaya
Tujhe dekhe bagair ye december bhi guzar gaya
Zaid bohut barasta tha na ye december bhi _ _ _
Lagta he ise bh tumhari tarah piyar hogaya
Zaid guzar jata he sara saal youn to
Nahi kat'ta magar tanha december
Zaid bhala barish se kia seraab hoga
Tumhare wisal ka piyasa december
Tuesday, 2 December 2014
December Ghazal | New December Ghazal | Latest December Ghazal
Aur Ye December
Zaid teri yadoun ki rawani aur ye december
Meri batain, teri khani aur ye december
Gum sum shamain, sunheri ratain, aur ye december
Bheege din, madham soraj, halke badal aur ye december
Bheti nadyaan, gatatin panchi, aurti dhund aur ye december
Tanha main, tanha chand, mera kamra aur ye december
Meri aankhein, mere aanso, meri nend, tere khuwab aur ye
december
Saturday, 21 December 2013
Best December Ghazal | Love Never Ends
Ye December Tha
Ye december tha ke bhegi hoi aankhein meri
Rabta toota ke tooti hoi sansain meri
To jo badla to sub hi rang hein badle badle
To nahi he to hain mehakti hoi yaadain teri
Sham hote hi jala lete hain yadoun ke chirag
Tujh ko sochoun to mehak uthti hain sansain meri
Zaid ye december tha ke bhegi hoi aankhein meri
Thursday, 12 December 2013
Udas December Ghazal About Love
December Ki Barish
Wo _ _ _
Jise barish pasand thi
Najane kyun ???
Aaj der tak _ _ _
Zaid _ tanha _ _ _
December ki barish main bhegta raha
Wednesday, 11 December 2013
December Sad Love Ghazal
December Jaraha He
December jaraha he
Aur nae sandise de raha he
Bohut se wadoun ke
Toot jane ke
Kuch nae rishtoun ki
Chahatoun main lipti barishoun ke
Lekin dheleez par sawali bana
Phir naya sal aamojud he
Kisi qarz khuwa ki tarah
Taqaze ki chadar aurhe
Lekin zaid mere hath phir bhi khali hain
Monday, 9 December 2013
December Two Lines Poetry Images
Ye shab , sard hawa , aur hijar ka aalam _ _ _
Guman hota he zaid is bar december mar dale ga
Thandi hawain kia chali mare shehar main
Zaid har taraf yadoun ka december bikhar gaya
Phir mosam-e-sard december main aagaya
Zaid ko phir se yadoun ki parwaiyaan mili
Main kar rahi houn khud ko teri yaad ke hawale
Zaid bhega hua december kahein mar hi na dale
Mera kia rishta november , december , january se
Zaid sub mahine zalim hain ishq ke faqeroun par
Sunday, 8 December 2013
Best Ghazal | December Is Full Of Pain
Sard Ratoun Ki Bhegi Tanhai
Sard raotun ki bhegi tanhai
Barsi bondoun ke chote hi silagta sa badan
Beti yadoun bete lamhoun main sulagta hua badan
Youn guzae saal ke sare dukh aur sare gham
Zaid akela december seh leta he
Saturday, 7 December 2013
Best December Ghazal In Urdu Images
December Hamara
Na jane ab ke saal ye sardi
Wojud ko kyun gadgada rahi he?
Warna ! !
December hamara
Kabhi itna pur sukoon to na guzra
Zaid ye to hamesha badle main
Nae tawan le kar jata he
Thursday, 5 December 2013
December Sad Ghazal Photo
Mahina He December Ka
Mahina he december ka
Ajab hi rang hain is ke
Judai ke andhesho se bhari
Thandi siya ratain
Milan ki aas se arasta
Shab-o-rooz haim sare
Juda hona muqaddar he
Ya wisal hi naseeba he
Ye koi bhi nahi jane
December aan poncha he
Zaid ye sub kuch to wohi jane
Sunday, 1 December 2013
This Year's Best December Nazam
December Ki Sard Ratoun Main
December ki sard ratoun main
Jab deer tak teri yaadoun ke jalo main
Chalte chalte thak sa jata houn, sochta houn
Teri judai main kitna badal gaya houn
Dil se laho ki boundain ras ras kar
Zameen bos hoti he
Aankho se jab ashko ki laho na khatam hoti he,Sochta houn
Main to us qareeb almarg shakhs se bhi badtar houn
Jo marne ki khuwahish main mout ko awaz de aur zaid mout
Use cho kar guzar jae
Sunday, 3 November 2013
December's Sad Love Poem
Kabhi December Ki Sard Ratoun Main
Wafa ko meri
Jafa ko apni
Kabhi jo likhna
To qissa-e-tamam likhna
Gulab shakho se jab adhore se phool chunna
Jo dharkanoun main sada koi bhi , kabhi sunna
To yaad karna
Kabhi december ki sard ratoun main, sochna tum
Main yaad karti houn tum ko har pal
Zaid mujhe bhi bhole se yaad karna