Showing posts with label Khuwab. Show all posts
Showing posts with label Khuwab. Show all posts
Monday, 20 October 2014
Friday, 3 January 2014
Best Urdu Ghazal | Do Not Dream
Khuwab Mat Dekho
Kha tha khuwab mat dekho
Ke in ke tootne se
Karchiyaa aankho main
Chubti hain _ _ _
Phir zaid aankhein khoon roti hain
Saturday, 16 November 2013
Best Ghazal | A Dream Comes True
Tum Jis Khuwab Main Aankhein Kholo
Tum jis khuwab main aankhein kholo
Us ka har roop amar_ _ _
Tum jis rang ka kapra pehno
Wo mosam ka rang_ _ _
Tum jis phool ko hans kar dekho
Kabhi na wo murjhae_ _ _
Tum jis hurf pe aungli rakhdo
Zaid wo roshan hojae_ _ _
Sunday, 10 November 2013
Dream's Sad Ghazal
Ek Khuwab Mila Hum Ko Tabeer Na mil Pai
Halat badal dakte wo tadbeer na mil pai
Ek khuwab mila hum ko tabeer na mil pai
Be-dard zamana tha be-dard mohabbat thi
Ranjhe ki tarah roe par heer na mil pai
Jo dil sukoon deti har dard bhola deti
Nazroun ko koi aesi tasveer na mil pai
Zaid zindagi ke har khel main hum hare
Har dard mila hum ko taqseer na mil pai
Sunday, 27 October 2013
Urdu Nazam | Meri Aankho Ki Gheraiyaan
Na jane zindagi mujh ko
Kahan par le ai he
Sabhi rishte nate
Mujhe kyun ger lagte hain
Mari aankhoun ki gheraiyaan
Gham-e-hijraa sunati hain
Bipa he gardish doraah
Sitare bhi mukhtalif hain
Jo rakho paoun darya main
Kinare bhi mukhalif hain
Main chakna chor khuwaboun ki
Sahbi bite aazaboun ki
Sunao dastaan kis ko
Zaid main kidhar jao
Thursday, 24 October 2013
Special Night Nazam Shayari Photo
Aik Raat Aujalo Mere Lie
Aik raat aujalo mere lie
Main so jaoun_ _ _tum jago
Ek shabnam hath rakho sene par
Lams jage to lab mehkhao
Sans main phool khilao
Hawa chale to _ _ _
Palkoun par tare barsao
Neend ke par phele jaain
Phir khuwab samandar jhago
Ek raat ujalo mere lie
Main sojao zaid tum jago
Friday, 18 October 2013
Urdu Sad Dream And Wish Poem
Ab Jo Gae To
Kuch khuwab, kuch tehrerain
Chand khawahishain,kuch be-maine jumle
Ye he mera kul asasa
Suno musafir !
Tum ab ke jate
Ye sub asase sang lete jana
Rah main kahein jo dekho
Koi behta darya
Koi jalta sehra
Ya kisi wadi khamosh main
Sar jhukae koi neem jan sa perh poda
Mere asasoun ki ye bhari garthri
Wahi kahein dafne dena
Suno zaid !
Ab jo gae to
Phir is shehar main mat lout aana
Sunday, 29 September 2013
Sad Ghazal | Do Not Lose This Dream
Is Khuwab Ko Khona Bhi Nahi He
Ek khuwab he is khuwab ko khona bhi nahi he
Tabeer ke dhage main pirona bhi nahi he
Lipta hua he dil se kisi raaz ki tarah
Wo shakhs ke jis ko mera hona bhi nahi he
Ye ishq-o-mohabbat ki riwayat bhi ajeeb he
Paya nahi jis ko, usey khona bhi nahi he
Jis shakhs ke khatir tera ye hal he zaid
Us ne tery mar jany pe rona bhi nahi he
Sunday, 15 September 2013
Geet | Life Difficult Without You
Tere Bin Jina Azab
Tujhe geet likho ke tujhe meit likho
Ya janam janam ki piret likho
Tere milan ke lamhe khuwab likho
Teri dosti ko gulab likho zaid
Ya tere bin jina azab likho
Tuesday, 25 June 2013
Urdu Nazam | Kabhi Ye Socha He _ _ _
Kia tumne
Kabhi ye socha he_ _ _
Tabeer jinhain mil jati he
Wo khuwab fanaa hojate hain
Aur milti nahi tabeer jinhain_zaid
Wo khuwab amar ho jate hain
Saturday, 1 June 2013
Urdu Nazam Specially For Sad Girls
Larkioun ! Mohabbat Ke Khuwab Dekhti Kyun Ho
Tum ko kia maloon nahi
Khuwab dekhne wali
Jo bhi aankh hoti he
Wo udas rehti he
Wo narash rehti he
Aankh ke dareche main
Jo chirag rakhte hain
Bad guman ratoun ka zaiqa chakti hain
Un ke dil ki rahain bhi
Be-nishan rehti hain
Be-imamrehti hain
Un ke ghar ke darwaze
Dastako se anjane
Aur samato ki gali
Aashnasi aahat se
Ajnabi si rehti he
Un ke sare jewan main
Tashangi si rehti he
Be-qali si rehti he
Ek kami si rehti he
Larkioun ! mohabbat ke khuwab dekhti kyun ho
Tum ko kia maloon nahi
Thursday, 16 May 2013
Urdu Great Sad Poetry In Photo
Ek Chera Gulab Sa
Wo chahato ki kitab sa tha
Wo ek chera gulab sa tha
Wo dard bhi tha fareeb bhi tha
Zaid_wo kia tha kesa tha khuwab sa tha
Yaad Aaya Mujh Ko Manana Tera
Hae yaad aaya mujh ko manana tera
Aur phir sharam se aankho ko jhukana tera
Hae kandho se dupatte ka sirakna
Sharam se phir wo dupatte ko authana tera
Tanhai Se Dar Lagta He
Mujhe halat ki gherai se dar lagta he
Bikhri bikhri hoi tanhai se dar lagta he
Sochta houn tere naam ki tasbi karloun_Zaid
Phir tere naam ki ruswai se dar lagta he
Thursday, 11 April 2013
Sad Urdu Poetry For "Khuwab" And If The Dream Is Reality?
Khuwabo ke tootne se badan tootne tak
Zaid_wo dukh bata jo hum ne saha na ho
Sukon, aaram, rahat, chain to ab khuwab jesa he
Zaid_mara har pal par khouf har pal khatar jesa he
Jo meri aankho se khuwab dekho
Zaid_to ek shab bhi na so sako ge
Monday, 25 March 2013
Heart Touching Nazam
In Do Aankho Main Bohut Dour kahein
In do aankho main bohut dour kahein
Guzre ho hom zamano ki khowahish phene
Ek mehbob khushi rehti he
Saf shifaf fazaoun main
Nigahoun ki hodoun se aage
Khuwab aawara parindo ki tarah
Phir mere dil ki taraf aate hain
Zaid in do aankho se ki jake kahe
Koi darya koi chashma koi jhounka le kar