Showing posts with label Sad. Show all posts
Showing posts with label Sad. Show all posts
Wednesday, 12 November 2014
Friday, 7 November 2014
Ghazal | Koi Sahara Na Mila
Un ke jesa to koi hum ko dubara na mila
Hum bhonawar main hi rahe hum ko kinara na mila
Dar gae jab bhi wehshat-e-halat se hum
Manana chaha tha magar koi sahara na mila
Chandni raat main taroun ke aasmaa pe hamain
Un ki aankho ki tarah koi sitara na mila
Raat bhar kyun un ki hansi un hi haya yaad aai
Jin ki bahoun main zaid ko sahara na mila
Wednesday, 5 November 2014
Urdu Nazam | New Urdu Nazam | Latest Urdu Nazam
Main Kachi Nend Main Houn
Main kachi nend main houn
Aur apne neem khuwabeda tanafus main autarti
Chandni ki chap sunti houn
Gumaa he zaid
Aaj bhi shayad
Mere mathe pe tere lab
Sitare pabat karte hain
Friday, 31 October 2014
Sad Ghazal | Hum Na Houn Ge
Hum se kab mansoob he
Ronaq tumhare bazam ki ...
Zaid hum na houn he ...
Tab bhi hogi ...
Subha teri ...
Sham teri ...
Aur raat teri ...
Tuesday, 28 October 2014
Barish Ghazal | Dhoop Main Barish
Main ne us se pocha ...
Kia dhoop main barish hoti he ...
Ye sun ke wo hansne lagi ...
Wo hanste hanste rone lagi ...
Phir zaid dhoop main barish hone lagi ...
Sunday, 26 October 2014
100 Best Urdu Ghazals Shayari Images
Zindagi Main _ _ _
Zindagi main
Hum ne kabhi kuch chaha hi nahi
Aur jise chaha
Use kabhi paya hi nahi
Jise paya use youn kho dia
Jese zaid zindagi main
Kabhi koi aaya hi nahi
Tuesday, 21 October 2014
Urdu Ghazals | New Urdu Ghazals | Latest Urdu Ghazals
Koi Tere Jesa Na Tha
Zaid tumhein bhool jane ka hosla
Na tha, ne he. na hoga
To juda dour reh kar bhi
Na tha, na he, na hoga
Tujhse mil kar kisi aur se kia milna
Koi tere jesa na tha, na he, na hoga
Tuesday, 30 September 2014
Sad Ghazal | New Sad Ghazal | Latest Sad Ghazal
Zaid Naam Tera
Jab bhi qalam
Authata houn
Na jane kab aur kese
Koi bhi hurf likhne se phele
Zaid naam tera likh deta houn
Friday, 26 September 2014
Two Lines Poetry | New Two Lines Poetry | Latest Two Lines Poetry
Zaid tujh se nahi waqt se naraz houn main
Jo kabhi bhi tujh ko mere lie nahi milta
Zaid mere sabar ka imtehan lete ho
Ya phis haqiqat main meri yaad nahi aati
Zaid tum ne acha kia jo dhoka dedia
Kuch na dete to gila rehti _ _ _
Zaid mohabbat naam he be-sukoni ka
Kisi ne paya ho sukoon , to misal do
Zaid kitna mushkil he manana us insan ko
Jo rotha bhi na ho aur baat bhi na kare
Wednesday, 17 September 2014
Barish Ghazal | Phir Raat Bhar
Phir Raat Bhar _ _ _
Phir raat bhar _ _ _ !!!
Barish .....!!!
Toot ke barsi .....!!!
Aik hi jesi shiddat thi .....!!!
Zaid bahar bhi .....!!!
Aur andar bhi .....!!!
Monday, 15 September 2014
Urdu Ghazal | Ek Tere Siwa
Aik tere siwa mujh ko
Yaad he khuda mujh ko
Log hansne lag jaain
Itna mat rula mujh ko
Phir kisi bhane se
Le auri hawa mujh ko
Is taraf ko le ai
Phir koi sada mujh ko
Ab bhi ache lagte hain
Raat aur dia mujh ko
Manna para zaid
Dil ka fesla mujhko
Thursday, 11 September 2014
Famous Urdu Ghazal Collection
Eik Aese Shehar Se Guzra
Chandni ne rang-e-shab jab zard kar dali ...
To main _ _ _
Aik aese shehar se guzra ...
Jahan _ _ _
Sirf diwarain numayaa thein ...
Chatain maadom thi _ _ _
Aur galyoun main faqat sae rawan the ...
Zaid _ jism ghayab the _ _ _
Friday, 22 August 2014
Urdu Poetry Collections For Lovers
Janti thi ke mujhe mout sukoon bakshegi _ _ _
Zaid wo sitam gar tha , so jine ki dua di usne
Phele ek lamhe ki zangeer se bandha mujhko
Zaid phir waqt ki raftar barhadi usne
Main jo mehka to meri shak jaladi usne
Zaid sabz mosam main mujhe sard hawa di usne
Saturday, 2 August 2014
Ghazal Shayari | New Ghazal Shayari | Latest Ghazal Shayari
Kha Tha Na _ _ _
Wohi hua nah
Kha tha na ke aehd-e-ulfat , samaj ke bandho
Nibha sakoge ?
Mujhe same ki tamazto se
Bacha sakoge ?
Bohut kha tha
Sabahato main pheel na jana
Mujhe gira ke sambhal na jana
Badalti zid main badal na jana
Bohut kha tha
Behal na janah
Kha tha na
Sambhal gae nah
Zaid badal gae nah
Wednesday, 29 January 2014
Urdu Nazam For Unforgettable Love
Dukh Ye He Ke
Dukh ye nahi ke
To nahi mailta
Dukh ye he ke
Tone milna chor dia he
Magar zaid !!!
To nahi badla
Wednesday, 4 December 2013
Best Poem | Love Is Missing Someone
Aasma Ki Janib
Aasma ki janib
Is tarah mat dekho
Aaftain jab aate hain
Tootna sitaroun ka
Reet is nagar ki he aur na jane kab se he
Khamshi mera shewa
Guftugo hunar us ka
Meri be-gunahi ko log kese mane ge
Bat bat pe jab ke
Mangna hawaloun ka zaid
Reet is nagar ki he aur na jane kab se he