Showing posts with label Barish. Show all posts
Showing posts with label Barish. Show all posts
Tuesday, 20 January 2015
Monday, 8 December 2014
Urdu December Ghazal
Sardiyaan December Ki
Halki halki barish hain
Aamaa pe badal hain
Badloun ki chal man se
Chandni chanakti he
Mujh se baat karti he
Yaad wo dilati he
Pichle saal ka mosam
Sardiyaan december ki
Pore chand ki ratain
Aur zaid tumhari batain
Thursday, 4 December 2014
December Shayari | New December Shayari | Latest December Shayari
Zaid teri yadain december ki khushbo jesi hain
Jo aati hain to jana bhool jati hain
Zaid ye saal bhi udas raha roth kar gaya
Tujhe dekhe bagair ye december bhi guzar gaya
Zaid bohut barasta tha na ye december bhi _ _ _
Lagta he ise bh tumhari tarah piyar hogaya
Zaid guzar jata he sara saal youn to
Nahi kat'ta magar tanha december
Zaid bhala barish se kia seraab hoga
Tumhare wisal ka piyasa december
Tuesday, 28 October 2014
Barish Ghazal | Dhoop Main Barish
Main ne us se pocha ...
Kia dhoop main barish hoti he ...
Ye sun ke wo hansne lagi ...
Wo hanste hanste rone lagi ...
Phir zaid dhoop main barish hone lagi ...
Wednesday, 15 October 2014
Ghazal | Barishoun Ke Mausam Main
Barishoun ke mausam main
Tum ko yaad karne ki
Aadatain purani hain
Ab ke bar socha he
Aadatain badal dalan
Phir khayal aaya
Zaid aadatain badalne se
Barishain nahi rukti
Wednesday, 8 October 2014
Barish Ghazal | Ab Ke Barish Main
Ab Ke Barish Main ... !!!
Ab ke barish main ...
Kuch aesa karna ...
Apni hatheli par ...
Qatroun ko jama karna ...
Jo jama ho jaain ...
Wo sub teri chahat ...
Zaid aur jo reh jaain ...
Wo sub meri chahat ... !!!
Wednesday, 17 September 2014
Barish Ghazal | Phir Raat Bhar
Phir Raat Bhar _ _ _
Phir raat bhar _ _ _ !!!
Barish .....!!!
Toot ke barsi .....!!!
Aik hi jesi shiddat thi .....!!!
Zaid bahar bhi .....!!!
Aur andar bhi .....!!!
Monday, 4 August 2014
Barish Ghazal | New Barish Ghazal | Latest Barish Ghazal
Barish Ki Teez Boundoun Ne _ _ _
Barish ki teez boundoun ne jab dastak di darwaze par
Mehsoos hua tum aae ho, andaz tumhare jesa tha
Hawa ke halke jhoke ki jab aahat hoi khirki par
Mehsoos hua tum aae ho, andaz tumhare jesa tha
Main tanha chali jab barish main, ek jhoke ne mera sath dia
Main samjhi tum ho sath mere, ahsas tumhare jesa tha
Phir ruk gae wo barish bhi, rahi na baqi aahat bhi
Main samjhi mujhe tum chor gae, zaid andaz tumhare jesa tha
Thursday, 16 January 2014
Urdu Beautiful Poetry Images
Wo log jin se teri bazm main the hangame
Zaid gae to kia teri bazm-e-khayal se bhi gae
Kabhi kabhi safar-e-zindagi se thak kar hum _ _ _
Zaid tere khayal ke sae main beth jate hain
Ye mere charoun taraf kis lie aujala he
Zaid tera khayal he ya din nikalne wala he
In barishoun se dosti achi nahi zaid
Kacha tera makan he kuch to khayal kar
Baksha he thokaroun ne sambhalne ka hosla
Zaid har hadsa khayal ko gherai de gaya
Thursday, 12 December 2013
Udas December Ghazal About Love
December Ki Barish
Wo _ _ _
Jise barish pasand thi
Najane kyun ???
Aaj der tak _ _ _
Zaid _ tanha _ _ _
December ki barish main bhegta raha
Sunday, 20 October 2013
Best Ghazal | Now At Night In The Rain
Ab Barsat Ki Ratoun Main
Tera phelo tere dil ki tarah abad rahe
Tujh pe guzri na qayamat shab-e-tanhai ki
Us ne jalti hoi peshani par jab hath rakha
Roh tak aagai taseer misahi ki
Ab barsat ki ratoun main badan totta he zaid
Jag authti hain ajab khuwahishain angrai ki
Friday, 11 October 2013
Barsat Ghazal | Use Barish Pasand He
Use barish pasand he
Aur mujhe barish main wo
Use hansa pasand he
Aur mujhe hanstay hoe wo
Use batain karna pasand he
Aur mujhe batain karte hoe wo
Use larna pasand he
Aur mujhe larte hoe wo
Use sub kuch pasand hai
Aur zaid mujhe bus wo
Thursday, 10 October 2013
Urdu Barsaat Poetry Images | Fresh Barsaat Shayari
Ye husun-e-mosam, ye barish, ye hawain zaid
Lagta he mohabbat ne aaj kisi ka sath dia he
Kabhi toot ke baraste hain kabhi be-rukhi se guzar jate hain
Kitni chahat se likha tha tera naam deewaroun pe
Zaid aaj barish ne usey chom chom ke mita dia
Barish ki bondoun main jhalakti he tumhari tasveer zaid
Aaj phir bheeg bethy hain tumhain paney ki chahat main
Mausam Haseen he zaid _ _ _
Magar mere mehbob jesa nahi
Wednesday, 9 October 2013
Barsat Sad Ghazal Shayari Images
Ek Muddat Se Tamanna Thi Tumhain Chone Ki
Dour reh kar na karo bat,qareeb ajao
Yaad reh jaegi ye raat,qareeb ajao
Ek muddat se tamanna thi tumhain chone ki
Aaj bus main nahi jazbat,qareeb ajao
Sard jhounko se bharakte hain badan main shole
Jan lele gi ye barsat qareeb ajao
Is qadar hum se jijagne ki zarorat kia he
Zaid zindagi bhar ka he ab sath qareeb ajao
Monday, 1 July 2013
Urdu Sad Ghazal Shayari For Barish
Yaad Ki Barish
Is mousam ki barish
Kuch bhi nahi, lekin
Teri yaad ki barish
Har pal_ _ _
Mujhe bhigoti rehti he
Zaid meri aankho se
Musalsal Barish hoti tehti he
Urdu Rain Geet Comes Crying Like The Read
In Bhegi Bhegi Aankho Se
In bhegi bhegi aankho hum dhere dhere bolain ge
Sub bhole bhale razoun ko hum chupke chupke kholain ge
Phir tip tip aanso tapkain ge aur rim jhim barish barse gi
Is dil ki khani kehne ko har dharkan dharkan tarse gi
Phir gulshan gounje gi awaz meri faryaad mari
Kantoun main chupe ga gham tera,pholoun main mehakti yaad teri
Phir panchi bin bin jaain ge aur mere geet sunain ge
Jo bhool gaya he wada to,zaid phir tujh ko yaad dilain ge
Monday, 8 April 2013
Comes The Cry Reading The Ghazal "Barish"
Mosam Ki Pheli Barish Thi _ _ _
Mosam ki pheli barish thi_ _ _
Tan Pani main, man yadoun main
Kab kitna bhega yaad nahi
Yaad he to bas itna
Ke!
Is se pichli barish main_Zaid
Hum dono sang sang bhege the
Latest Barish Urdu Sad Shayari
Mohabbat To Barish He
Mohabbat to barish he_ _ _
Jise chone ki tamanna
Har koi rakhta he_Zaid
Magar hath hamesha khali reh jate hain
Main Kis Se Kaho _ _ _
Agli barish Ka wada tha us ka
Main kis se kaho _ _ _
Zaid_koi us se bhi to kahe
Ke aajao barish lout aai he
Bohut Pasand He Barishain Mujhe
Wo janta he _ _ _
Bohut Pasand he barishain mujhe
Isi lie jate same wo de gaya he
Zaid_meri aankho ko sawan ka pata
Monday, 25 March 2013
He Piyar Ka Sehra
Hontoo se dua ke lie janbish nahi hoti
Ab is se ziada teri khuwahish nahi hoti
He piyar ka sehra,yahan Badal nahi aate_Zaid
Badal bhi aajain to barish nahi hoti