Showing posts with label Phool. Show all posts
Showing posts with label Phool. Show all posts
Wednesday, 5 November 2014
Wednesday, 25 December 2013
Urdu Ghazal About Life And Love
Mujhe Bhi Tum Se Pyar Hone Laga
Rafta rafta izhar hone laga
To mera raaz dar hone laga
Phool ke har motia gajre
Khushbo ban kar bhar hone laga
Raat bhar choriyaan khanakti rahein
Zaid mujhe bhi tum se pyar hone laga
Tuesday, 12 November 2013
A Superb Ghazal In Urdu
Phool Ka Gehna _ _ _
Us ne mere hath main bandha
Ujala kangan bele ka !!!
Phele piyar se thami kalai
Bad us ke hole hole phenaya
Gehna pholoun ka _ _ _
Phir jhuk kar hath ko chom lia !
Murjha hi gae
Lekin meri ratain un ki khushbo se ab tak roshan hain
Banho par wo lams abhi tak taza he
Phool ka gehna _ _ _
Prem ka kangan _ _ _
Pyar ka bandhan _ _ _
Zaid ab tak meri yaad ke hath se lipte hoe hain
Thursday, 20 June 2013
Urdu Sad Nazam Shayari For Loosing Time
Hath Milne Ka Waqt Aapouncha
Mosmoun ne khabar suna di he
Phool khilne ki rut tamam hoi
Zird soraj ka chera kehta he
Din dhalne ka waqt aapouncha
Mere hatho se pisla hath us ka
Aur bicharne ka waqt aapouncha
Meri aankho ne parh lia he naseeb
Bakht dhalne ka waqt aapouncha
Apna rishta tha mosam ka rishta
So pighalne ka waqt aapouncha
Apne sub fesloun pe jaan-e-hayat
Zaid_hath milne ka waqt aapouncha
Friday, 19 April 2013
Urdu Qitah قطعہ
To Bura Man Gae
Zulf ne bal koi khaya to bura man gae
Chand badli main jo aaya to bura man gae
Aur sub ko pilate rahe mast aankho se
Hath Zaid ne barhaya to bura man gae
Pholoun Ki Nazakat He Tujh Main
Itni nazuk ke pholoun ki nazakat he tujh main
Itni komal ke kalyoun ki shararat he tujh main
Younhi khohi rehti tum mere khayaloun main
Zaid_ye to mere piyar ki karamat he tujh main