Showing posts with label Maa. Show all posts
Showing posts with label Maa. Show all posts
Saturday, 30 August 2014
Thursday, 7 November 2013
Best Poem About Mother
Ae Maa Mujhe Neend Nahi Aati _ _ _
Mujhe apni aagosh main shifqat dedo
Mere mathe par lab-e-mohabbat rakh do
Mujhe methi lori suna kar
Mere sare gham mita kar
Apne sene ki thandak main chupalo
Ae maa _ _ _
Muddat hoi main roya nahi houn
Kai ratain kat gaein main soya nahi houn
A Ghazal By Mother Nature
Meri Maa
Meri zindagi mari khushi meri chahat he meri maa
Meri mohabbat mera ishq meri dewangi he meri maa
Mere dukho main hoti hain jis ki aankein aashbar
Meri zindagi ka hasil he meri maa
Meri khushyoun ki mere dukh sukh ki sathi
Wo piyari si hasti he meri maa
Meri kamyabioun meri manziloun ki talab
Har pal duain mangti he zaid jo mere waste meri maa
Wednesday, 6 November 2013
Special Poetry About Mother In Urdu
Maa tere bad bata kon laboun se apne
Waqt-e-rukhsat mere mathe pe dua likhe ga
Tere hatho ki karamat ki to phir bat hi kia maa
Mujh ko to tere qadmoun ki matti bhi shifa deti he
Ek muddat se meri maa nahi soi
Zaid mene kha tha mujhe dar lagta he
Tere aagosh main jannat aur jahan dono ka sukoon tha
Is pathar pe sar rakh ke mujh se soya nahi jata maa
Saturday, 22 June 2013
Best Urdu Poetry Ghazal About Mother's Love
Mat Gustakhi Karna Us 'Maa' Se
Zara si chot lage to aanso bha deti he
Sukoon bhari god main hum ko sula deti he
Hum karte hain khata to chutki main bhola deti he
Hote hain khafa to dunya ko bhola deti he
Mat gustakhi karna us 'Maa' se_zaid
Jo apne bacho ki chah main apna aap bhula deti he
Tuesday, 18 June 2013
The Best Of Urdu Sad Poetry Shayari
Wo Meri Maa Ka Chera He
Jise main husun kehta houn wo meri maa ka chera he
Jise main ishq kehta houn wo meri maa ki aankhain hain
Jis ka har lafz mujhe lagta he quran jesa _ zaid
Jise main roz sunta houn wo meri maa ki batain hain
Khwahish Ke Haseen Har
Khuwahish ke haseen har par rote nahi dekha
khuwaboun ke manazir ko bhi khote nahi dekha
Beh jate hain ashko ke samandar main do jahan
Tum ne kabhi zaid ko rote nahi dekha
To Bat Ajab Hogi
Bijli ki garj sun kar youn hi mere sene se
Ghabra ke lipat jae to bat ajab hogi
Dulhan mere khuwaboun ki khud apni hi banhoun main
Zaid_sharma ke simat jae to bat ajab hogi
Thursday, 9 May 2013
Best Urdu Loving Ghazal For Maa
Kabhi Apni Maa ka Dil Na Dukhana
Agar chahte ho sada muskurana
Kabhi apni maa ka dil na dukhana
Karo apni maa ki hamesha gulami
Nokar bane ga tumhara zamana
Gussa na karna kabhi apni maa se
Hamesha mohabbat se bolana _ _ _
Khushi se apni maa ki har baat mano
Jannat me tera bane ga thikana
Chale gi aasmano pe tarif teri
Zaid_Kabhi apna gussa na maa ko dikhana
Urdu Very Nice "Silence" Poetry Shayari Pics
Jab bhi kashti meri selab main aajati he
Zaid_maa dua karti hoi khuwab main aajati he
Kisi ko ghar mila hisse main ya koi duka aai _ Zaid
Main ghar main sub se chota tha mere hisse main maa aai
Laboun pe kabhi us ke kabhi bad-dua nahi hoti
Zaid _ bus ek maa he jo kabhi khafa nahi hoti
Abhi zinda he maa meri mujhe kuch bhi nahi hoga_Zaid
Main jab ghar se nikalta houn dua bhi sath chalti he
Manwar maa ke samne youn kabhi khol kar nahi rona
Zaid _ jahan bunyaad ho itni nami achi nahi hoti