Saturday, 22 March 2014
Thursday, 13 March 2014
Best Poetry Ghazal In Beautiful Photo
Jab Kabhi _ _ _
Chand tare jab us aangan se guzarte hounge
Sham wo log hamain yaad to karte hounge
Aik ye subha ke weran he guzargahe khayal
Aik wo subha jahan bal sanwarte hounge
Jab kabhi choriyaa taakra ke khanakti houngi
Ghar ki tanhai main kia rang bikharte hounge
Aik ye sham ke bhegi hoi palkain hain wohi
Zaid aik wo sham jahan chand autarte hounge
Monday, 10 March 2014
Urdu Heart Touching Ghazal Shayari
Aaina Jhoot Bolta He
Aaina jhoot bolta he
Har shakhs ke chere pae
Na jane kitne chere hote hain
Kahan ye kisi ka sacha roop bayan
Karsakta he
Kisi ki fairat
Kahan zahir hoti he
Ye kahan diloun ke bhed kholta he
Zaid aaina jhoot bolte he
Monday, 3 March 2014
Mohabbat Ghazal Shayari In Urdu
Mohabbat Main
Suno!
Mohabbat main dil hi nahi
Rooh ko bhi khiraj ada karna parhta he
Ek dosre ko pa kar bhi na pana
Mohabbat ka khiraj hi to nahi
Jo!
Main aur to to ada kar rahe hain!
Kyunke zaid!
Hum donoun!
Ek dosre se mohabbat kar rahe hain
Monday, 3 February 2014
Best Design Ghazal | Life Is Carefully
Zindagi Ahtiyat He
Zindagi !
Ek Sapris
Jo kisi bhi same
Aik ashara khunodi pe
Wapis
Parvaz kar jati he
Zindagi
Ek bulbula pani ka
Ek halka sa jhonka hawaka
Use dour,bohut dour
Sub se dour , le jata he
Zindagi ! ahtiyat !! he zaid
Bus aur to kuch nahi
Wednesday, 29 January 2014
Urdu Nazam For Unforgettable Love
Dukh Ye He Ke
Dukh ye nahi ke
To nahi mailta
Dukh ye he ke
Tone milna chor dia he
Magar zaid !!!
To nahi badla
Monday, 27 January 2014
Ghazal | Because There Is No End To Love
Aakhir Kyun
Aakhir kyun main samajhna paya ke ,
Ye aas thi ke tum meri ho _
Magar aaj , mari aas , udas hogai...
Han ! kyunke meri aas main ,
Us ka dard aur mera piyar ro numa tha _
Aur jab dard ka phela hurf,
Aur piyar ka tesra hurf
Us main shamil hua to udas kar gaya...
Aur main samajhna paya,
Zaid aakhir kyun samajhna paya!
Thursday, 23 January 2014
Sad Ghazal | Mera Ye Phelta Kajal
Sanam tum ne kha tha ye
Mohabbat jadowan karlein
Nighahoun se bayan karlein
Ye lafzoun ki mohtaj nahi hoti he
Nigahoun se aayaa hokar
Matah khas hoti he
Sirf tum ko hi chaha he
Tumhari bat mani he
Aaj bhi dam-e-rukhsat
Laboun se kuch na boloun gi
Magar
Mera ye phelta kajal
Lab khamosh se phele
Zaid tumhain sub kuch bata dega
Thursday, 16 January 2014
Urdu Beautiful Poetry Images
Wo log jin se teri bazm main the hangame
Zaid gae to kia teri bazm-e-khayal se bhi gae
Kabhi kabhi safar-e-zindagi se thak kar hum _ _ _
Zaid tere khayal ke sae main beth jate hain
Ye mere charoun taraf kis lie aujala he
Zaid tera khayal he ya din nikalne wala he
In barishoun se dosti achi nahi zaid
Kacha tera makan he kuch to khayal kar
Baksha he thokaroun ne sambhalne ka hosla
Zaid har hadsa khayal ko gherai de gaya