Wednesday, 27 November 2013
Saturday, 23 November 2013
50 Pictures Of Four Line Poetry
Bus Ek Aakhri Khuwahish He
Bus ek aakhri khuwahish he tum se
Ek sham mere nam ki sajao to sahi
Apni weraan zindagi main hamain bulao to sahi
Zaid is bar mari mohabbat to aazmao to sahi
Mujhe Kuch Aur Kehna Tha
Wo kuch sunta to me kehta,mujhe kuch aur kehna tha
Wo pal bhar ko jo ruk jata mujhe aur kehna tha
Ghalat fehmi ne batoun ko barha dala younhi warna zaid
Kha kuch tha wo kuch samjha , mujhe kuch aur kehna tha
Maa Ka He Kam Bus Dua Karna
Mene sikha he apne bacho se
Sach ka izhar bar-mala karna
Chahe aulad kitne hi dukh de
Zaid maa ka he kam bus dua karna
Friday, 22 November 2013
Urdu Aankhein Ghazal Shayari
Neli,Kali,Bhori Aankhein
Neli,kali,bhori aankhein
Chamakti,badami aankhein
Tekhi,Surk sharabi aankhein
Thaki hoi si bojhal aur nendasi aankhein
Bhoki aankhein,nangi aankhein
Aankhoun ke us bojh se dab kar mur jhain gi
Zaid piyamil ki piyasi aankhein
Thursday, 21 November 2013
Sad Nazam | Jab Mera Zikar Ho
Mere marne ke bara saal bad bhi
Gar kahein pe kabhi
Jab mera zikar ho
Aur palkain teri
Tujh ko nam si lagain
Zaid main ye samjho ga
Main ne tujh ko pa lia
Tuesday, 19 November 2013
50 My Best Every Ghazal Designed
Wohi Raste Wohi Manzilain
Younhi ranjishoun main guzar gai
Kabhi wo khafa
Kabhi main khafa
In Chahatoun ke mour pae
Kabhi wo ruka
Kabhi main ruka
Wohi raste wohi manzilain
Na use khabar
Na mujhe pata
Apni apni ana main gum
Zaid kabhi wo jhuda
Kabhi main juda
Sunday, 17 November 2013
Sad Nazam In Urdu | Her Cold Face
Us Ke Sard Chere Par
Har kisi ke chere par
Ek ziya si hoti he
Rukh ke aik hisse main
Husun ke ilake main
Ek udasi hoti he
Us ko mene dekha tha
Garam khomahinoun main
Ek khushi ki mehfil main
Ek taraf khare tanha
Jis taraf ko raste the
Jin ke sath galyaan thein
Jin main log badte the
Be-kashish makanoun main
Jese chand ratain thein
Us ke sard chere par
Zaid _ _ _
Khushgawar aankhein thein
Saturday, 16 November 2013
Best Ghazal | A Dream Comes True
Tum Jis Khuwab Main Aankhein Kholo
Tum jis khuwab main aankhein kholo
Us ka har roop amar_ _ _
Tum jis rang ka kapra pehno
Wo mosam ka rang_ _ _
Tum jis phool ko hans kar dekho
Kabhi na wo murjhae_ _ _
Tum jis hurf pe aungli rakhdo
Zaid wo roshan hojae_ _ _
Wednesday, 13 November 2013
Urdu Poetry Love Is Life
Zindagi jabar musalsal ki tarah kati he zaid
Jane kis jurm ki pai he saza yaad nahi
Jo guzari na jasaki hum se zaid
Hum ne wo zindagi guzari he
Azmat zindagi ko bech dia _ _ _
Zaid hum ne apni khushi ko bech dia
Kehte hain teri zulf paresha ko zindagi
Zaid_zingadi ki tamanna buri to nahi _ _ _
Is zindagi main itni faragat kise naseeb
Zaid itna na yaad aake tujhe bhool jae hum
Tuesday, 12 November 2013
A Superb Ghazal In Urdu
Phool Ka Gehna _ _ _
Us ne mere hath main bandha
Ujala kangan bele ka !!!
Phele piyar se thami kalai
Bad us ke hole hole phenaya
Gehna pholoun ka _ _ _
Phir jhuk kar hath ko chom lia !
Murjha hi gae
Lekin meri ratain un ki khushbo se ab tak roshan hain
Banho par wo lams abhi tak taza he
Phool ka gehna _ _ _
Prem ka kangan _ _ _
Pyar ka bandhan _ _ _
Zaid ab tak meri yaad ke hath se lipte hoe hain
Sunday, 10 November 2013
Urdu Nazam | Hum Darte Hain
Hum darte hain
Hum tumhein rango se khelna
Chero ko parhna
Sikha to dain
Magar _ _ _
Hum darte hain zaid
Phir tum har chera be-naqab kar dalo ge