Wednesday, 24 July 2013
Sad Urdu Romantic And Loving Ghazal For Break Up
Main Us Ke Bad Sadyoun Tak Na Soya
Jise paya use khoya tha ek din
Main apne hal pe roya tha ek din
Mai us ke bad sadyoun tak na soya
Wo meri neend main soya tha ek din
Main kese bhool jao us ko yaroo
Mere phelo main jo roya tha ek din
Kyun zaid use main din main doundho
Wo mujh se raat main khoya tha ek din
Wednesday, 17 July 2013
Short Urdu Sad Poetry With Special Design Wallpaper
Baghban ne aag di jab aashyane ko mere
Zaid_jin pe takya tha wohi patte hawa dene lage
Tujh ko kia ilm tujhe harne wale kuch loug_zaid
Kis sakht nadamat se tujhe dekhte hain
Kyun itni tasdeek karte ho_zaid
Har hawale se hum tumhare hain
Tum the to meri sham main tha subha ka aalam_zaid
Tum jab se gae , Sham Jhalakti he sehar main
Phirte hain khuwar koi pochta nahi_zaid
Is aashiqi main izat sadat bhi gai
Mere zakhmoun pe dhere hath rakhna_zaid
Ye halat rahatoun main dhal rahi he
Mita sakta nahi koi muqaddar ki lakeroun ko_zaid
Jo mit saktien to ye kar numayan hum bhi kar lete
Thursday, 4 July 2013
Urdu Very Sad And Deep Love Nazam Shayari
Haseen Lamhe!!!
Haseen lamhe!!!
Wohi the lamhe,
Ke jis main tum thi,
Tumhari qurbat marasuko thi,
Ke jis main ulfat ko hurf-e-izhar dil ki koi,
Talab nahi thi,
Ke jis main aankhain hi kar rahi thi,
Tamam batain!!!
Ke jis main qurbat ki thandi chahoun,
Gham-e-zamana bhola chuki thi,
Ke jis main lamhe guzar rahe the,
Magar gumal tha ruke hoe hain,
Zaid haseen lamhe!!!
Monday, 1 July 2013
Urdu Sad Ghazal Shayari For Barish
Yaad Ki Barish
Is mousam ki barish
Kuch bhi nahi, lekin
Teri yaad ki barish
Har pal_ _ _
Mujhe bhigoti rehti he
Zaid meri aankho se
Musalsal Barish hoti tehti he
Urdu Rain Geet Comes Crying Like The Read
In Bhegi Bhegi Aankho Se
In bhegi bhegi aankho hum dhere dhere bolain ge
Sub bhole bhale razoun ko hum chupke chupke kholain ge
Phir tip tip aanso tapkain ge aur rim jhim barish barse gi
Is dil ki khani kehne ko har dharkan dharkan tarse gi
Phir gulshan gounje gi awaz meri faryaad mari
Kantoun main chupe ga gham tera,pholoun main mehakti yaad teri
Phir panchi bin bin jaain ge aur mere geet sunain ge
Jo bhool gaya he wada to,zaid phir tujh ko yaad dilain ge
Friday, 28 June 2013
Urdu Qitah قطعہ With Special Design Photo
Aeh-E-Dil Bhi Ajeeb Hote Hain
Aap apne raqeeb hote hain
Aeh-e-dil bhi ajeeb hote hain
Rahatoun se garez gham se farar
Zaid baaz lamhe ajeeb hote hain
Kia Khabar Thi
Jin ke hounto pe hansi pao main chale honge
Han wohi log tere chahne wale honge
Hum bare naaz se aae the teri mehfil main
Kia khabar thi zaid ab izhar pe tale honge
kuch Imkan Abhi Baqi He
Shayad us ne hansi hansi main tark-e-wafa ka zikar kia ho
Younhi ek khush fehmi he , itminan abhi baqi he
Diae munder pe rakh aate hain hum har sham na jane kyun
Shayad zaid ke lout aane ka kuch imkan abhi baqi he
Jie Jarahi houn
Gham se nibha karke jie jarahi houn
Khud ko tabah karke jie jarahi houn
Rah-e-wafa main apni luta kar mata-e-zisat
Bus aah aah karke jie jarahi houn
Bethe Ge Sukh Ki Chahoun Main
Bethe ge sukh ki chahoun main
Jahan sache rishte yaroun ke
Jahan ghounghat zewar taryoun ke
Zaid jahan jharne komal sukh wale
Tuesday, 25 June 2013
Urdu Nazam | Kabhi Ye Socha He _ _ _
Kia tumne
Kabhi ye socha he_ _ _
Tabeer jinhain mil jati he
Wo khuwab fanaa hojate hain
Aur milti nahi tabeer jinhain_zaid
Wo khuwab amar ho jate hain
Saturday, 22 June 2013
Best Urdu Poetry Ghazal About Mother's Love
Mat Gustakhi Karna Us 'Maa' Se
Zara si chot lage to aanso bha deti he
Sukoon bhari god main hum ko sula deti he
Hum karte hain khata to chutki main bhola deti he
Hote hain khafa to dunya ko bhola deti he
Mat gustakhi karna us 'Maa' se_zaid
Jo apne bacho ki chah main apna aap bhula deti he
Friday, 21 June 2013
Urdu Short Shayari With Beautiful Images
Jo tarap tujhe kisi aaine main na mil sake_zaid
To phir aaine ke jawab main mujhe dekhna
Kese kahain ke us ko bhi humse koi lagao he_zaid
Us ne to hum se aaj tak koi gila nahi kia
Tum ho magmom tumhari to nahi hosakti_zaid
Kis ke chere ki ye muskan autha lae ho
Beth jati houn jahan chahoun ghani hoti he
Zaid_hae kia chez ghareeb alwatni hoti he
Wo bichar gaya he mujhse kisi aesi rah guzar pe_zaid
Jo dhondna bhi chahoun to nishan nahi mile ga