Wednesday, 29 January 2014
Monday, 27 January 2014
Ghazal | Because There Is No End To Love
Aakhir Kyun
Aakhir kyun main samajhna paya ke ,
Ye aas thi ke tum meri ho _
Magar aaj , mari aas , udas hogai...
Han ! kyunke meri aas main ,
Us ka dard aur mera piyar ro numa tha _
Aur jab dard ka phela hurf,
Aur piyar ka tesra hurf
Us main shamil hua to udas kar gaya...
Aur main samajhna paya,
Zaid aakhir kyun samajhna paya!
Thursday, 23 January 2014
Sad Ghazal | Mera Ye Phelta Kajal
Sanam tum ne kha tha ye
Mohabbat jadowan karlein
Nighahoun se bayan karlein
Ye lafzoun ki mohtaj nahi hoti he
Nigahoun se aayaa hokar
Matah khas hoti he
Sirf tum ko hi chaha he
Tumhari bat mani he
Aaj bhi dam-e-rukhsat
Laboun se kuch na boloun gi
Magar
Mera ye phelta kajal
Lab khamosh se phele
Zaid tumhain sub kuch bata dega
Thursday, 16 January 2014
Urdu Beautiful Poetry Images
Wo log jin se teri bazm main the hangame
Zaid gae to kia teri bazm-e-khayal se bhi gae
Kabhi kabhi safar-e-zindagi se thak kar hum _ _ _
Zaid tere khayal ke sae main beth jate hain
Ye mere charoun taraf kis lie aujala he
Zaid tera khayal he ya din nikalne wala he
In barishoun se dosti achi nahi zaid
Kacha tera makan he kuch to khayal kar
Baksha he thokaroun ne sambhalne ka hosla
Zaid har hadsa khayal ko gherai de gaya
Friday, 10 January 2014
Best Ghazal Poetry Picture
Zindagi Jine Ke Lie
Zindagi jine ke lie,
Arman zarori he
Har khushi pane ke lie,
Imtehan zarori he
Dil main chahe hazaroun gham ho,
Par zaid chere par ek muskan zarori he
Friday, 3 January 2014
Best Urdu Ghazal | Do Not Dream
Khuwab Mat Dekho
Kha tha khuwab mat dekho
Ke in ke tootne se
Karchiyaa aankho main
Chubti hain _ _ _
Phir zaid aankhein khoon roti hain
Friday, 27 December 2013
Best Udas Ghazal In Urdu
Udas Kyun Ho ?
Ek din mila wo mujh se
Bujha bujha sa , jhuka jhuka sa
Udasiyoun main racha basa sa
Jo main ne pocha udas kyun ho ?
Jhuka ke palkain chupa ke chera
Laga wo kehne _ _ _
Udasiyoun ka sabab tum hi ho
Zaid mere naseeb main tum hi ho
Wednesday, 25 December 2013
Urdu Ghazal About Life And Love
Mujhe Bhi Tum Se Pyar Hone Laga
Rafta rafta izhar hone laga
To mera raaz dar hone laga
Phool ke har motia gajre
Khushbo ban kar bhar hone laga
Raat bhar choriyaan khanakti rahein
Zaid mujhe bhi tum se pyar hone laga
Saturday, 21 December 2013
Best December Ghazal | Love Never Ends
Ye December Tha
Ye december tha ke bhegi hoi aankhein meri
Rabta toota ke tooti hoi sansain meri
To jo badla to sub hi rang hein badle badle
To nahi he to hain mehakti hoi yaadain teri
Sham hote hi jala lete hain yadoun ke chirag
Tujh ko sochoun to mehak uthti hain sansain meri
Zaid ye december tha ke bhegi hoi aankhein meri
Wednesday, 18 December 2013
Sad Love Ghazal In Urdu
Kabhi Pas Aake Dekho
Kabhi pass aake dekho kabhi dour jake dekho
Main houn piyar ka tarana mujh gunguna ke dekho
Teri khuwahishoun ke qurbaa teri aarzo ke sadke
Gham main bhi keh raha he zara muskura ke dekho
Karta nahi chiraga tujh bin main apne ghar main
Fursat agar mile to zaid mere ghar main aake dekho