Wednesday, 11 December 2013
Monday, 9 December 2013
December Two Lines Poetry Images
Ye shab , sard hawa , aur hijar ka aalam _ _ _
Guman hota he zaid is bar december mar dale ga
Thandi hawain kia chali mare shehar main
Zaid har taraf yadoun ka december bikhar gaya
Phir mosam-e-sard december main aagaya
Zaid ko phir se yadoun ki parwaiyaan mili
Main kar rahi houn khud ko teri yaad ke hawale
Zaid bhega hua december kahein mar hi na dale
Mera kia rishta november , december , january se
Zaid sub mahine zalim hain ishq ke faqeroun par
Sunday, 8 December 2013
Best Ghazal | December Is Full Of Pain
Sard Ratoun Ki Bhegi Tanhai
Sard raotun ki bhegi tanhai
Barsi bondoun ke chote hi silagta sa badan
Beti yadoun bete lamhoun main sulagta hua badan
Youn guzae saal ke sare dukh aur sare gham
Zaid akela december seh leta he
Saturday, 7 December 2013
Best December Ghazal In Urdu Images
December Hamara
Na jane ab ke saal ye sardi
Wojud ko kyun gadgada rahi he?
Warna ! !
December hamara
Kabhi itna pur sukoon to na guzra
Zaid ye to hamesha badle main
Nae tawan le kar jata he
Thursday, 5 December 2013
December Sad Ghazal Photo
Mahina He December Ka
Mahina he december ka
Ajab hi rang hain is ke
Judai ke andhesho se bhari
Thandi siya ratain
Milan ki aas se arasta
Shab-o-rooz haim sare
Juda hona muqaddar he
Ya wisal hi naseeba he
Ye koi bhi nahi jane
December aan poncha he
Zaid ye sub kuch to wohi jane
Wednesday, 4 December 2013
Best Poem | Love Is Missing Someone
Aasma Ki Janib
Aasma ki janib
Is tarah mat dekho
Aaftain jab aate hain
Tootna sitaroun ka
Reet is nagar ki he aur na jane kab se he
Khamshi mera shewa
Guftugo hunar us ka
Meri be-gunahi ko log kese mane ge
Bat bat pe jab ke
Mangna hawaloun ka zaid
Reet is nagar ki he aur na jane kab se he
Tuesday, 3 December 2013
Sad Ghazal Life Is Pain
Kasara Hi Kasara Tha
Tumhein pane ki khuwahish main
Kasara hi kasara tha
Tumhara hijar bi mushkil
Tumhara wisal bhi mushkil
Jo mil jate
To khuwaboun ka weran hojata
Jo bichare ho
To dil ki be-qarari jao dani he
Tumhein pane ki khuwahish main
Kasara hi kasara tha
So hum ne tum ko pane ki
Tamanna rond dali he
Khasare se nikalne ki
Zaid yehi sorat nikali he
Sunday, 1 December 2013
This Year's Best December Nazam
December Ki Sard Ratoun Main
December ki sard ratoun main
Jab deer tak teri yaadoun ke jalo main
Chalte chalte thak sa jata houn, sochta houn
Teri judai main kitna badal gaya houn
Dil se laho ki boundain ras ras kar
Zameen bos hoti he
Aankho se jab ashko ki laho na khatam hoti he,Sochta houn
Main to us qareeb almarg shakhs se bhi badtar houn
Jo marne ki khuwahish main mout ko awaz de aur zaid mout
Use cho kar guzar jae
Wednesday, 27 November 2013
Sad Ghazal | Live Life With Less Pain
Kuch Ishq Kia, Kuch Kam Kia
Wo log bohut khush kismat the
Jo ishq ko kam samajhte the
Ya kam se aashiqi karte the
Hum jite ji masroof rahe
Kuch ishq kia, kuch kam kia
Kam ishq ke aare aata raha
Aur ishq se aulajta raha
Phir aakhir tang aakar hum ne
Zaid donoun ko adhora chor dia
Saturday, 23 November 2013
50 Pictures Of Four Line Poetry
Bus Ek Aakhri Khuwahish He
Bus ek aakhri khuwahish he tum se
Ek sham mere nam ki sajao to sahi
Apni weraan zindagi main hamain bulao to sahi
Zaid is bar mari mohabbat to aazmao to sahi
Mujhe Kuch Aur Kehna Tha
Wo kuch sunta to me kehta,mujhe kuch aur kehna tha
Wo pal bhar ko jo ruk jata mujhe aur kehna tha
Ghalat fehmi ne batoun ko barha dala younhi warna zaid
Kha kuch tha wo kuch samjha , mujhe kuch aur kehna tha
Maa Ka He Kam Bus Dua Karna
Mene sikha he apne bacho se
Sach ka izhar bar-mala karna
Chahe aulad kitne hi dukh de
Zaid maa ka he kam bus dua karna