Sunday, 8 December 2013
Saturday, 7 December 2013
Best December Ghazal In Urdu Images
December Hamara
Na jane ab ke saal ye sardi
Wojud ko kyun gadgada rahi he?
Warna ! !
December hamara
Kabhi itna pur sukoon to na guzra
Zaid ye to hamesha badle main
Nae tawan le kar jata he
Thursday, 5 December 2013
December Sad Ghazal Photo
Mahina He December Ka
Mahina he december ka
Ajab hi rang hain is ke
Judai ke andhesho se bhari
Thandi siya ratain
Milan ki aas se arasta
Shab-o-rooz haim sare
Juda hona muqaddar he
Ya wisal hi naseeba he
Ye koi bhi nahi jane
December aan poncha he
Zaid ye sub kuch to wohi jane
Wednesday, 4 December 2013
Best Poem | Love Is Missing Someone
Aasma Ki Janib
Aasma ki janib
Is tarah mat dekho
Aaftain jab aate hain
Tootna sitaroun ka
Reet is nagar ki he aur na jane kab se he
Khamshi mera shewa
Guftugo hunar us ka
Meri be-gunahi ko log kese mane ge
Bat bat pe jab ke
Mangna hawaloun ka zaid
Reet is nagar ki he aur na jane kab se he
Tuesday, 3 December 2013
Sad Ghazal Life Is Pain
Kasara Hi Kasara Tha
Tumhein pane ki khuwahish main
Kasara hi kasara tha
Tumhara hijar bi mushkil
Tumhara wisal bhi mushkil
Jo mil jate
To khuwaboun ka weran hojata
Jo bichare ho
To dil ki be-qarari jao dani he
Tumhein pane ki khuwahish main
Kasara hi kasara tha
So hum ne tum ko pane ki
Tamanna rond dali he
Khasare se nikalne ki
Zaid yehi sorat nikali he
Sunday, 1 December 2013
This Year's Best December Nazam
December Ki Sard Ratoun Main
December ki sard ratoun main
Jab deer tak teri yaadoun ke jalo main
Chalte chalte thak sa jata houn, sochta houn
Teri judai main kitna badal gaya houn
Dil se laho ki boundain ras ras kar
Zameen bos hoti he
Aankho se jab ashko ki laho na khatam hoti he,Sochta houn
Main to us qareeb almarg shakhs se bhi badtar houn
Jo marne ki khuwahish main mout ko awaz de aur zaid mout
Use cho kar guzar jae
Wednesday, 27 November 2013
Sad Ghazal | Live Life With Less Pain
Kuch Ishq Kia, Kuch Kam Kia
Wo log bohut khush kismat the
Jo ishq ko kam samajhte the
Ya kam se aashiqi karte the
Hum jite ji masroof rahe
Kuch ishq kia, kuch kam kia
Kam ishq ke aare aata raha
Aur ishq se aulajta raha
Phir aakhir tang aakar hum ne
Zaid donoun ko adhora chor dia
Saturday, 23 November 2013
50 Pictures Of Four Line Poetry
Bus Ek Aakhri Khuwahish He
Bus ek aakhri khuwahish he tum se
Ek sham mere nam ki sajao to sahi
Apni weraan zindagi main hamain bulao to sahi
Zaid is bar mari mohabbat to aazmao to sahi
Mujhe Kuch Aur Kehna Tha
Wo kuch sunta to me kehta,mujhe kuch aur kehna tha
Wo pal bhar ko jo ruk jata mujhe aur kehna tha
Ghalat fehmi ne batoun ko barha dala younhi warna zaid
Kha kuch tha wo kuch samjha , mujhe kuch aur kehna tha
Maa Ka He Kam Bus Dua Karna
Mene sikha he apne bacho se
Sach ka izhar bar-mala karna
Chahe aulad kitne hi dukh de
Zaid maa ka he kam bus dua karna
Friday, 22 November 2013
Urdu Aankhein Ghazal Shayari
Neli,Kali,Bhori Aankhein
Neli,kali,bhori aankhein
Chamakti,badami aankhein
Tekhi,Surk sharabi aankhein
Thaki hoi si bojhal aur nendasi aankhein
Bhoki aankhein,nangi aankhein
Aankhoun ke us bojh se dab kar mur jhain gi
Zaid piyamil ki piyasi aankhein
Thursday, 21 November 2013
Sad Nazam | Jab Mera Zikar Ho
Mere marne ke bara saal bad bhi
Gar kahein pe kabhi
Jab mera zikar ho
Aur palkain teri
Tujh ko nam si lagain
Zaid main ye samjho ga
Main ne tujh ko pa lia