Saturday, 9 November 2013
Sad Ghazal Without You
Aap Ke Bin Raha Nahi Jata
Aap ke bin raha nahi jata
Kia kahein kuch kha nahi jata
Gham-e-janah main lazat-gham he
Gham-e-dunya saha nahi jata
Zindagi younhi kat rahi he magar
Ab tamasha bana nahi jata
Lout aao sadaain deti hain
Zaid fasl-e-gul main jia nahi jata
Thursday, 7 November 2013
Best Poem About Mother
Ae Maa Mujhe Neend Nahi Aati _ _ _
Mujhe apni aagosh main shifqat dedo
Mere mathe par lab-e-mohabbat rakh do
Mujhe methi lori suna kar
Mere sare gham mita kar
Apne sene ki thandak main chupalo
Ae maa _ _ _
Muddat hoi main roya nahi houn
Kai ratain kat gaein main soya nahi houn
A Ghazal By Mother Nature
Meri Maa
Meri zindagi mari khushi meri chahat he meri maa
Meri mohabbat mera ishq meri dewangi he meri maa
Mere dukho main hoti hain jis ki aankein aashbar
Meri zindagi ka hasil he meri maa
Meri khushyoun ki mere dukh sukh ki sathi
Wo piyari si hasti he meri maa
Meri kamyabioun meri manziloun ki talab
Har pal duain mangti he zaid jo mere waste meri maa
Wednesday, 6 November 2013
Special Poetry About Mother In Urdu
Maa tere bad bata kon laboun se apne
Waqt-e-rukhsat mere mathe pe dua likhe ga
Tere hatho ki karamat ki to phir bat hi kia maa
Mujh ko to tere qadmoun ki matti bhi shifa deti he
Ek muddat se meri maa nahi soi
Zaid mene kha tha mujhe dar lagta he
Tere aagosh main jannat aur jahan dono ka sukoon tha
Is pathar pe sar rakh ke mujh se soya nahi jata maa
Sunday, 3 November 2013
December's Sad Love Poem
Kabhi December Ki Sard Ratoun Main
Wafa ko meri
Jafa ko apni
Kabhi jo likhna
To qissa-e-tamam likhna
Gulab shakho se jab adhore se phool chunna
Jo dharkanoun main sada koi bhi , kabhi sunna
To yaad karna
Kabhi december ki sard ratoun main, sochna tum
Main yaad karti houn tum ko har pal
Zaid mujhe bhi bhole se yaad karna
A Ghazal Sad Situation
Mera Chera Mere Halat Ka Aaina He
Mera rona mere jazbat ka aaina he
Ye khamoshi meri har bat ka ka aaina he
Kis tarah kardoun use khud se juda
Wo jo ek shakhs meri zaat ka aaina he
Aankh main phir koi darya na autar aae kahein
Meri aankhein kisi barsat ki aaina he
Be-basi meri teri tishna labi jesi he
Meri har bat teri bat ka aaina he
Jo bhi chaho meri sorat main dekh lo zaid
Mera chera mere halat ka aaina he
Wednesday, 30 October 2013
Sad Ghazal Of Mohabbat In Urdu
Mohabbat Mar Deti He
Jahan koi maseha na ho
Dard ka darma na ho
Koi tere jese na ho
Ye un sahiloun pe utar deti he
Mohabbat mar deti he
Dard ke maroun ko
Ghar ki diwaroun ko
Har toote hoe lehje ko
Zindagi deti he
Aetbar deti he magar
Mohabbat mar deti he
Gar judai ka
Halka sa kanta bhi chub jae
Tarap uthi he
Ro parhti he
Apni godh maa se utar deti he
Zaid Mohabbat mar deti he
Best Poem | Life In A Moment
Aik Pal Main Ho Zindagi
Mere rastoun main chamak uthe
Meri ter-o-jaa main dhamak uthe
Mile aik pal teri deed ka
To meri nazar main ho roshni
Wohi Khil uthe amr-e-char so
Wo jo aarzo ke gulab hain
Ke jo chahtoun ke nisab hain
Kisi aik pal main ho zindagi
Tere hurf hurf ki chashni
Teri bat bat ki dheri
Mujhe le ke apne hisar main
Kisi daimi se rikhsar main
Wohi ek pal mare gumshuda !
Mujhe zindagi ki naveed jo
Zaid wohi aik pal ke
Mile jab to meri bhi eid ho
Tuesday, 29 October 2013
Ghazal | And Have A Special Someone In My Life
Tab Hum Kia The Ab Hum Kia Hain
Tab hum kia the ab hum kia hain
Tab sardio ki naram dhoop thi
Sardiyoun ki udas shamain thi
Sard ratein thein,ab garmiyoun ke din hain
Halat ki tapish se khuwahish jal chuki hain
Zindagi ki shama par kitne arman pighal chuke hain
Maloom nahi _ _ _
Tab har lamha kisi ko yaad karte the
Ab kisi bhi lamha koi yaad nahi aata
Tab hum kuch keh nahi pae
Ab hum kuch keh nahi sakte
Tab hum kia the zaid ab hum kia hain