Sunday, 27 October 2013
Urdu Nazam | Meri Aankho Ki Gheraiyaan
Na jane zindagi mujh ko
Kahan par le ai he
Sabhi rishte nate
Mujhe kyun ger lagte hain
Mari aankhoun ki gheraiyaan
Gham-e-hijraa sunati hain
Bipa he gardish doraah
Sitare bhi mukhtalif hain
Jo rakho paoun darya main
Kinare bhi mukhalif hain
Main chakna chor khuwaboun ki
Sahbi bite aazaboun ki
Sunao dastaan kis ko
Zaid main kidhar jao
Saturday, 26 October 2013
My Special Poetry For Special One
Tum ne acha kia jo dhoka de dia
Zaid kuch na dete to gila rehti
Me to ghazal suna kar akela hi khara raha zaid
Sub apne apne chahne waloun main kho gae
Humne soch rakha he zaid tere lout aane par
Tanz karne walo ka khoob dil jalain ge
Tooth kar chubh raha he aankho main
Kanch to nahi tha? zaid khuwab mera
Kash ke bachpan main hi tujhe mang lete zaid
Har chez mil jati thi do aanso bahane se
Thursday, 24 October 2013
Special Night Nazam Shayari Photo
Aik Raat Aujalo Mere Lie
Aik raat aujalo mere lie
Main so jaoun_ _ _tum jago
Ek shabnam hath rakho sene par
Lams jage to lab mehkhao
Sans main phool khilao
Hawa chale to _ _ _
Palkoun par tare barsao
Neend ke par phele jaain
Phir khuwab samandar jhago
Ek raat ujalo mere lie
Main sojao zaid tum jago
Mohabbat Bhari Ghazal | Love First Time
Mohabbat Pheli Bar
Pheli bar
Siatara banna
Dosri bar bikhar jana
Pheli bar
Therna dil main
Dosri bar guzar jana
Pheli bar
Use khat Likhna
Dosri bar jala dena
Pheli bar
Mohabbat karna zaid
Dosri bar bhula dena
Wednesday, 23 October 2013
Best Prayer Nazam Shayari Photo
Aik Adhori Dua
Shab ki dheleez pe manind hote hoe
Har sitare ne dekha use
Raat hote hoe
Aansoun ki nami bhege rukhsar par
Sar se dhanki hoi sabzsi aurni
Mathmi he fizaa us ke singhar par
Taaq ratoun main us ne he dhounda bohut
Jis ko shiddat se us ne bhi manga bohut
Aik adhori dua
Zaid us se gum hogai
Urdu Sad Mosam Ghazal | Such Nice Weather
Itne Ache Mosam Main
Itne ache mosam main
Rothna acha nahi!
Har jeet ki batain
Kal pe rakhain!
Zaid _ _ _
Aaj dosti karlain
Tuesday, 22 October 2013
Urdu Sad And Crying Nazam Shayari
Hamare Zakham To Chele Gae Hain
Hamare zakham to chele gae hain
Han! laho behta he.behne do
Badan dukhta he,dukhne do
Ab in zakhmoun pe tum marham na rakho
Zakham bhar bhi jaain to bharne se kia hoga
Hamari aankh ka sara laho beh jae to behne se kia hoga
Hamari aankh se jitna laho behta he,behne do
Hamare chak rehne do
Hamare chak sil bhi jaain to silne se kia hoga
Hamare zakham behne do zaid
Hamari aankh ki patli main koi nam na rehne do
Monday, 21 October 2013
Best Ghazal | The Heart And Knew Something
Ye Dil Kuch Aur Samajhta Tha
Wo jazboun ki tijarat thi
Ye dil kuch aur samajta tha
Use hanse ki adar thi
Ye dil kuch aur samajhta tha
Mere phelo main roya to bohut soya
Ye dil kuch aur samajhta tha
Mere kande pe sar rakh ke kisi aur ke lie roya tha
Wo dar, parda, hakarat thi par zaid ye dil kuch aur samajhta tha
Sunday, 20 October 2013
Urdu Aankhein Nazam Shayari Photo
Wo Aankhein Kesi Aankhein Thi
Wo aankhein kesi aankhein thi
Main ab tak maho herat houn
Ajab shesha gari thi wo
Ajab jado gari thi wo
Bari herat se takte the
Ye meri zaat ke zarre
Ke is ki nigah-e-khas ne
Aesi tajalli ki
Ke meri zaat jo koh-e-girah thi
Reza hogai zaid
Wo aankhein kesi aankhein thi