Monday, 22 April 2013
Saturday, 20 April 2013
Urdu Ghazal With Nice Feeling Design
Wo Mera He Faqat Mere
Kabhi ye dawa ke wo mera he faqat mera
Kabhi ye dar ke wo mujh se juda to nahi
Kabhi ye dua ke use mil jae sare jahan ki khushyaan
Kabhi ye khouf ke khush wo mere bina to nahi
Kabhi Ye tammana ke bas jao us ki nigahoun main
Kabhi ye dar ke us ki aankho ko kisi ne dekha to nahi
Kabhi ye khuwahish ke zamana ho muntazir us ka
Kabhi ye veham ke wo kisi se mila to nahi
Kabhi ye aarzo ke wo jo mange mil jae usey
Kabhi ye wass_wasse ke us ne mere siwa kuch manga to nahi
Urdu Very Sad Poetry With Wall Papers
Jalatoun ke silsile soz nihan tak aagae_Zaid
Hum nazar tak chahte the tum to jaa tak aagae
Mere chere main tumhain wo hi nazar aae ge
Zaid_main faqat un ki tasveer bani bethi houn
Main utar sakti houn dil main sub ke
Zaid_lamha bhar nazrain milae koi
Jalwe to be-panah the is kainat main
Zaid_ye aur bat he ke nazar tum pe ruk gae
Daman chora kar agar jana hi tha_Zaid
To nazrain mila kar piyar se dekha kis lie
Friday, 19 April 2013
Urdu Qitah قطعہ
To Bura Man Gae
Zulf ne bal koi khaya to bura man gae
Chand badli main jo aaya to bura man gae
Aur sub ko pilate rahe mast aankho se
Hath Zaid ne barhaya to bura man gae
Pholoun Ki Nazakat He Tujh Main
Itni nazuk ke pholoun ki nazakat he tujh main
Itni komal ke kalyoun ki shararat he tujh main
Younhi khohi rehti tum mere khayaloun main
Zaid_ye to mere piyar ki karamat he tujh main
Thursday, 18 April 2013
Urdu Shayari Archive For "Neend"
Neend se kia shikwa jo aati nahi_Zaid
Qusor to us chere ka he jo so sone nahi deta
Tabeer hi sochte rahe adrohe khowabo ki
Zaid_aur neend aankho ki dheleez pe tarapti reh gai
Aagai na phir tumhain neend _ Zaid
Ajeeb shakhs ho mohabbat bhi karte ho aur aaram bhi
Sunday, 14 April 2013
Best Designed Urdu Poetry | Wo Larki Nahi Zindagi He Meri
Ji rahi houn is aetmad ke sat
Zaid_zindagi ko meri zarorat he
Kisi bat par main kisi se khafa houn_Zaid
Main zinda houn par zindagi se khafa houn
Tum ho gye mere to koi aarzo nai_Zaid
Ab is ke bad zindagi main justujo nahi
Zindagi se bari saza hi nahi
Zaid_aur jurm kia he, pata hi nahi
Kise khabar thi ke par pech zindagi he bohut
Zaid_main chal para mujhe sidhi sarak nazar aai
Sad Ghazal | A Woman's Pride
Us Ki Hatehli Par Mere Aanso!!!
Us ki hatehli par mere aanso!!!
Kitne ache kagte hain
Jese subha sawere!
Kawal ki pankharyan.....
Shabnam se jag mag karti houn
Moti jesi shabnam.......
Phool ki aankho main ja kar here ki kani ban jati houn
Qatra qatra dil katta he
Khoushbo dhere dhere tan main phelti he
Shabnam phool ke rang main aakhir rang jati he
Nanhe nanhe chirago ki log barhti he to ......
Us ka chera phele se barh kar roshan lagne lagta he
Zaid_us ki aankho main mere aanso.....
Kitne ache lagte hain!!!!
Saturday, 13 April 2013
You never know what is waiting | Urdu Poetry "Intezar"
Kese katain ge wo ratain wo intezar ke din_Zaid
Aaj un ke hi khayaloun main ja ke dekhe ge
Ae mout ab to aaja tera intezar he
Zaid_zinda hain zindagi ka arman kie baghair
Ab nahi to phir sahi,phir nahi to phir sahi
Zaid_phir ke intezar main zindagi guzar gai
Friday, 12 April 2013
Urdu Ghazal | Na Karti Zindagi Youn Hum Ko Dewana To Acha Tha
Na likh sake koi bhi hijro afsane to acha tha
Na karti zindagi youn hum ko dewana to acha tha
Hazaro khuwahishe rakh kar dilo main dafan kardi hain
Na hota shoq jene ka to marjana to acha tha
Zaid_jawani raas na aai to bachpan ki dua mangi
Khilono se wo apne ko behlana to acha tha
Thursday, 11 April 2013
Sad Urdu Poetry For "Khuwab" And If The Dream Is Reality?
Khuwabo ke tootne se badan tootne tak
Zaid_wo dukh bata jo hum ne saha na ho
Sukon, aaram, rahat, chain to ab khuwab jesa he
Zaid_mara har pal par khouf har pal khatar jesa he
Jo meri aankho se khuwab dekho
Zaid_to ek shab bhi na so sako ge